Post

karun aisa sajda woh ghabra ke keh deiN-khuda ke liye ab to sar ko...READ MORE

Sent to you by adi via Google Reader:

via Only sad shayari.'s Facebook Wall by Only sad shayari. on 9/28/11
karun aisa sajda woh ghabra ke keh deiN
khuda ke liye ab to sar ko utha le.....
[admn: shallu mahajan]

ye keh kar diye meri kismat mein naale
tumhari amanat tumhare hawale......

bas itni hai doori ye manzil hai ye main hun
kahan aake phoote hain paaon ke chhale......

karun aisa sajda woh ghabra ke keh dein
khuda ke liye ab to sar ko utha le.....

mariz-e-shab-e-gam ki saans aakhri hai
charag-e-sahar le raha hai sambhale.....

kabhi mar bhi chuk ae mariz-e-muhabbat
pareshan baithe hain ghar jaane wale......

qayamat hain zaalim ki nichi nigahein
khuda jane kya ho jo nazrein utha le..

Qamar main hun mukhtar tanzim-e-shab ka
hain mere hi bas mein andhere ujaale......


Wall Photos