Tumhare khath main naya ek salam kis ka thana tha raqeeb to akhir...READ MORE..
Sent to you by adi via Google Reader:
via Urdu Poetry's Facebook Wall by Urdu Poetry on 9/29/11
Tumhare khath main naya ek salam kis ka thana tha raqeeb to akhir wo nam kis ka tha
Wo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha
Wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha
Raha na dil main wo be-dard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha
Na pooch-paach thi kisi ki na aav-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha
Hamare khat ke to purze kiye padha bhi nahin
sun jo tum ne ba-dil wo payam kis ka tha
Inhin sifat se hota hai admi mashhur
jo lutf aap hi karte to naam kis ka tha
Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha
Har ek se kahte hain kya "Daagh" bewafa nikla
ye puche in se koi wo ghulam kis ka tha
,,,,,,Kashif,,,,,,,
Wall Photos



