Post

Aakhri bar milo aisay keh jaltay hue dil Rakh ho jain, koi or taqaza na karain Chak wada na silay zakhm tamanna na khulay Saans hamwar rahay shama'a ki lau tk na hilay Batain bas itni k lamhay aa ker inhain gin jai'n Aankh uthay koi umeed to aankhai

Aakhri bar milo aisay keh jaltay hue dil
Rakh ho jain, koi or taqaza na karain
Chak wada na silay zakhm tamanna na khulay
Saans hamwar rahay shama'a ki lau tk na hilay
Batain bas itni k lamhay aa ker inhain gin jai'n
Aankh uthay koi umeed to aankhain chin jai'n
Is mulaqat ka is bar koi wehm nahi'n
Jis say ek or mulaqat ki soorat niklay
Ab na haijaan - o - junoo'n ka na hikayat ka waqt
Ab na tajdeed - e - wafa ka na shikayat ka waqt
Lut gai shehr - e - hawadis main mata 'a ilfaz
Ab jo kehna hai to kaisay koi noha kahay
Aj tk tum say rag - o - jaan kay kayee rishtay thay
Kal say jo ho ga usay kon sa rishta kahiyay
Phir na dehkain gay kabhi aariz - o - rukhsar milo
Matami hain dam - e - rukhsat dar - o - deewar milo
Phir na hum hoon gay, na iqrar na inkar milo...!!!
....saad....