Post

Khadshon ki zanjeer pari hai neend bhari sab ankhon me Sapnay kaisay baat karain sapnay kis say baat karain Jin logon ka rasta taktay umarain rizk e khak huin Ab wo log or un kay sapnay dekhnay wali ankhain Bujh kar rakh huin Rakh kay is ambar

Khadshon ki zanjeer pari hai
neend bhari sab ankhon me
Sapnay kaisay baat karain sapnay kis say baat karain
Jin logon ka rasta taktay umarain rizk e khak huin
Ab wo log or
un kay sapnay dekhnay wali
ankhain Bujh kar rakh huin
Rakh kay is ambar main honge
kaisay kaisay zinda khawab
Khawabon ki is rakh ko lekin chhede kon
Jis rastay par chaon na pani us pay dalay deray kon
Daria hi payab ho jab to us main kashti kesay lay jaain
Khushboo ek awara jhonka
is jhonkay ko gehray kon
Kesay duniya ko batlaain
"tum hotay ho meray kon"....!!!!!!!
.....saad.....