Post

READ IT PLZ:aik baadshah ne apnay wazeer se awaam ki bardasht maloom..READ MORE

 
 

Sent to you by adi via Google Reader:

 
 

via TaFreeh.....PaRTy.....ShUGaL......MasTY........FunN.....;)'s Facebook Wall by TaFreeh.....PaRTy.....ShUGaL......MasTY........FunN.....;) on 10/3/11

READ IT PLZ:

aik baadshah ne apnay wazeer se awaam ki bardasht maloom karnay ko kaha.
Saaray log kaam per janay k liye aik pull per se guzartay thay.
Wazeer ne pull per se guzarnay ka tax laga dia.
... magar koi ahtijaaj nahi hua.
Wazeer ne tax barha kar 10 guna kar dia.
phir bhi koi ahtijaaj nahi hua.
Wazeer ne her tax denay walay ko 10 jootay bhi maarnay ka hukam dia.
Aglay din log baadshah k mehel k baahir jama ho gaye.
Baadshah samjha k ab ahtijaaj ho ga.
Baadshah ne logon se un ka masla poocha...
jawab aya k :
"jootay maarnay wala aik he aadmi hai. lambi line lagani parti hai. kaam per late pohonchtay hain is waja se.
jootay maarnay walon ki tadaad barhaai jaye...
DEDICATED TO ALL PAKISTANIS...

 
 

Things you can do from here: